jab insan aankon se dehkta hai
to lafz uss ke damag tak jate hain
jab insan kano se sunta hai
to lafz uss ke dil tak jate hain
issi leye
loog kehte hain
dil pyar mein andha hota hai
hum be dunya walon ki sun lete
to ye din nahi dehkna parta
tum chup ho gey
to humain laga
tumhari kamoshi main soch hai
awaz nahi aye
to aank kolni pari
aur nazar aya
wo wadhe
wo sapne
wo mohabat
wo sab baatain
sirf lafz te
insan kese mohabat mein aankain bund ker leta hai?
kisi ne ussey kabhi batay nahi?
aankain kohl ke chalna chaye
warna ghir jao gey